Thursday, April 2, 2009

Wha! Banaras

Wha! Banaras
Woh Chowk ka nazara,woh Deena ki chaat
Woh SOnu's ki ice cream,Wah usme thi kuch baat
Woh RajBandhu sweet ki mithai,woh GOdoliya ka Bazar
Woh Sindhi Dhabe ki Dal Frie aur Desi Ghee ke samose
Woh Sigra KE Cyber Cafe,Cafe Me Kudiyo Ke nazare
Woh Nagar Nigam Ka park,woh University ki hawa
Woh Bhu KE Nazare Aur Waha Ghumte Jodiyo ki Bahare
Woh January ki kadake ki sardi,woh baarishon ke mahiney
Woh garmi ke din,jab chhutate they paseeney
Woh holi ki masti,woh doston ki toli,
Woh diwali ke patakhe aur janmashtmi ki roli,
Woh Banaras Ka Paan,wo Banaras Ki Saree
Woh Shaher ki Tang galiyan ,woh B.K.M ki kudiya.
Woh Nandini ki balcony aur woh Ghungroo ka sound,
Woh Banaras ka mausam aur woh School ke life,
Humne bhi bas dekhe hi they wo saare khel.
Wo Rat ko Chai peene station tak jaana
wo highway ke dhabe,Wo chaurahe,wo Ghato ka mela,
Itna sab keh diya par dil kehta hai aur bhi kuch kahoon
Wo shehar hain Hamara,jiska naam BANARAS!!

5 comments:

Manu Dev Gupta / Gilly said...

kaunsi khaas baat hai...hindustan ke har shahar me ye sab khoobiyan hoti hain...

Anonymous said...

where's assi ghat dude...

Abhishek said...

to phir yeh sab film mein kyun nahi dikhaaya?!

Pawan said...

@ abhishek: are sab kuch thode naa movie me dekha sakte hai bhai... tum bhi had karte hoon..
@adi: Dude there are hazar other ghats in banaras y r u so particular abt assi...
@manu: to mian kab maina kiya.. lakin tujhe ye sari khubiya chennai me dekhe kya ? mujhe to nahin dekhe yaar..

Unknown said...

where is my special banarasi paan????
itna taarif kiya hai..ab toh chahiye hi....